
Aaj ke daur mein marketing ka bahut bada roll hai, Chahe Koi chhota Business ho ya bada brand Market ka maksad Customer tak pahunchna aur product ya service ko promote karna hota hai. Marketing ke do mukhya prakar hote hain. 1.Traditional Marketing or 2. Digital Marketing dono ke apne fayde aur seemai hain. Aaiye asan bhasha mein samajhte hain ki dono kaise alag hai aur kaun sa Business aapke liye behtar hai.
Traditional Marketing kya hai?
Traditional Marketing Jo purane Samay se istemal ho raha hai. Ismein physical aur offline madhyam se Ads Kiya jata tha.
- Newspaper: Mein Ads dena.
- Television or radio: TV aur Radio ke jarie Ads dikhana.
- Billboards or hoardings: sadak par poster lagana.
- Magazine aur pamphlet: magazine browser.
- Direct mail: Logon Ko post ke jarie promotional samagri bhejna.
Digital Marketing kya hai?
Digital Marketing Internet or Digital platform ke jarie ki Jaati Hai. Ismein online tools aur Technology Ka istemal Hota Hai.
- Social media marketing: Facebook , Instagram, LinkedIn platform per promotion karke.
- Digital Upkaran: computer, Mobile Phone, Leptop, IPad etc.
- Search engine optimization SEO: Google per website ko Rank karana.
- Email Marketing: Customer ko email ke jarie Information dena.
- Paid ads: Social media per Ads chalana.
Content Marketing: Block, Video or Infographics ke jarie Information share karna.
Traditional or Digital Marketing Mein Difference

- Traditional Marketing local or simit ariya mein prabhavit hai, Jabki Digital Marketing Global or Bade audience(logo) tak pahuchta hai.
- Traditional Marketing mahanga khaskar TV or print Ads Jaise mahange hote hain, Jabki Digital Marketing kifayati or budget ke hisab se adjustable hota hai.
- Traditional Marketing ektarfa brand se Customer Tak Interaction hota hai, Jabki Digital Marketing brand or Customer dono taraf se interaction hota hai.
- Traditional marketing kathin aur Lambe samay mai result ata hai, Jabki Digital Marketing aasan aur turant result ata hai.
- Traditional Marketing kam lachila pan aur content fix rahata hai. Jabki Digital Marketing Jyada lachila Pan aur content badla Ja sakta hai.
Traditional Marketing or Digital Marketing mein kaun sa behtar hai
Yeh aapke business aur target audience per nirbhar karta hai.
- Agar aapka audience local hai aur digital platform ka istemal kam Karta Hai To Traditional Marketing Behtar ho sakti hai
- Or Agar naye Jamane ki Customer ko target kar rahe hain Jo Jyada Samay online bitate hai to Digital Marketing best option hai.
Digital Marketing ke fayde
- Kam lagat : Chhote budget Mein Bade audience Tak pahuncha Ja sakta hai.
- Result tracking: Aapko turant pata chalta hai ki Ads kaisa perform kar raha hai.
- Target audience: Target audience ko sahi tarike se chun sakte hain.
- Fast response: Customer turant responce de sakte hain.
Traditional Marketing ke fayde
- Vishvasniyat : Tv, News Pepar ka Prabhav lambe Samay tak rahata hai.
- Local connection: Chhote City or Gaon Mein Jyada prabhavi Hota Hai.
- Tangible Format : Printed ads Hath per pakde Ja sakte hain Jo Jyada yaadgar hote hain.
Nishkarsh

Aaj ke Digital jamane mein Digital Marketing Teji se lokpriya ho raha hai agar budget aur target audience ke hisab se sahi platform choose karna ho to Digital Marketing behtar hai, Jabki Traditional Marketing ki apni ek Chhoti seema hai jo chote city mein hi kamyab hai.